Tuesday, 18 December 2012

Some Aayat....

Is (Khuda) ney saat aasman upper talay banaey (to aey dekhnay walay) kya tu Rehman ki khilqat mein koi bey-zaabtagi dekhta hai. Dobara (nazren daal kar) daikh kiya (aasmaan men) tujhey koi shigaaf nazar aata hai. Phir dobara dekh teri nigah teri taraf zalil (o-aajiz) ho kar thaki hui loat aayegi.(Sura Mulk Ayat 3-5)Aey Rasul jo kuch bhi aap ki taraf aap kay Rab ki janib say nazil kiya gaya hai phoncha dijiye. Agar aap ney aisa na kiya to aap ne Us (Khuda) ka paigham puhanchaya hi nahi aur Allah logon say aap ki hifazat khud farmaey ga be-shak Allah kafiron ko hidayat nahi deta. .(Sura Maaeda Ayat 67)Deen men koi zabardasti nahi, hidayat gumrahi say alag ho chuki hai is liye jo shaks Khuda kay siwa doosray maboodon ka inkar ker kay Khuda per eman laey us ney mazboot rassi ko thaam liya jo kabhi na tootay gi aur Khuda sunney wala janney wala hai (Sura Baqra Ayat 256)Kya tu ney usay nahi dekha jo saltanat paa ker Ibrahim say us kay Rab k baray mein jhagar raha tha jab Ibrahim ney kaha maira Rab to wo hai jo zinda krta aur maarta hai wo kehney laga mein bhi zinda krta aur maarta hun ibrahim ney kaha Khuda suraj ko mashriq say nikalta hai tu isay maghrib se nikaal. Ab to wo kafir bhoncka reh gaya aur Khuda zalimon ko hidayat nahi deta (Sura Baqra Ayat 258)Aur agar tmhara Rab chahta to tamam loge imaan laatey to kya tum logon per zabardasti karna chatay ho k wo momin ho jaaen. Halan kay kisi shaks ka imaan lana Khuda kay hukm kay baghair mumkin nahi. Aur Khuda bey aqal logon per azaab daal daita hai. (Sura Yunas Ayat 99 100)Wo Allah hi hai jo tumhen bijli ki chamak daraney aur umeed dilaney kay liye dikhata hai aur bhaari bhaari baadlon ko paida kerta hai. (Sura Raad Ayat 12)Aur wohi hai jo logon k na umeed hojaney kay bad barish barsata hai aur apni rehmat phaila daita hai. Wohi hai kaar saaz aur qabil-e-hamd-o-sana. (Sura Shura Ayat 28)Pas (aey rasool) aap kay pass ilm aajaney kay baad jo shaks Issa k maamley men aap se jhagra krey to aap keh den kay aa jao hum (mil kar) apney baiton ko aur tmharey baiton ko aur apni aurton ko aur tmhari auraton ko aur apni jaanon ko aur tmhari jaanon ko bula laity hen. Phir hum mubahila kartey hen aur jhooton per Allah ki laanat bhejtey hen. (Sura Aal-e-Imran Ayat 61)Aur Khuda ki raah men marney walon ko murda mat kaho woh zinda hain lekin tum nahi samajhtay. (Sura Baqra Ayat 154)Jab farishton ney kaha aey Marium! Khuda tujhay apney aik kalmay ki khushkhabri daita hai jis ka naam Maseeh Essa ibn Marium hai jo duniya aur aakhirat mein zee izzat hai aur wo meray muqarrabeen mein say hai. Wo logon say apney gehwaray mein baatain karay ga aur bari umar mein bhi aur woh naik logon mein say hoga. (Sura Aal e Imran Ayaat 45 46)(aey Rasul) So qasam hai teray perwerdigar ki! Yeh momin nahi ho saktay jab tak kay tamam aapas kay ikhtilaf mein aap ko haakim na maan len. phir jo faisla aap in mein ker den in say apney dil mein kisi tarah ki tangi aur na khushi na payen aur farmanbardari kay sath qabool kerlen (Sura Nisa Ayat 65)Pus jo log duniya ki zindagi ko aakhirat kay badlay baich chukay hain unhen Allah Taalaa ki raah mein jihad kerna chahaiye aur jo shaks Allah Taalaa ki raah mein jihad kertay huye shahdat paa ley ya ghalib aajaye yaqeenan hum ussay bara sawab inayat farmayen gay.(Sura Nisa Ayat 74)Jo shaks kissi neki ya bhalay kaam ki sifarish keray usay bhi us ka kuch hissa milay ga aur jo buraee aur badi ki sifarish keray us kay liye us mein say aik hissa hai aur Khuda her cheez per qudrat rakhney wala hai. (Sura Nisa Ayat 85)Jo shaks koi buraee keray ya apni jaan per zulm keray phir Khuda say istaghfaar keray to woh Khuda ko bakshney wala meharbani kerney wala payega.(Sura Nisa Ayat 110)Allah Taalaa tumhen saza dey ker kiya keray ga? Agar tum shukar guzari kertay raho aur ba eman raho Allah Taalaa boht qadar kerney wala aur poora ilm rakhney wala hai.(Sura Nisa Ayat 147)Ya ye logon say hasad kertay hain is per jo Khuda ney apney fazal say unhen diya hai pus Hum ney to aal-e-ibrahim ko kitab aur hikmat di hai aur bari saltanat bhi ata farmaee hai. (Sura Nisa Ayat 54)Yaqenan ye (Quran) aik buzrug Rasool ka bataya hua hai. Jo qoowat wala hai arsh waly (Allah) kay nazdeek buland martaba hai. Jis ki (asmanon mein) itaa’t ki jati hai (aur wo) ameen hai.(Sura Takweer Ayaat 19-21)Aur yeh (Quran) shaitan mardod ka kalam nahi.Phir tum kahan jarahy ho.Yeh to tamam jahaan waalon kay liey nasehat nama hai.(bilkhosos) us kay liey jo tum mein say sedhi raah per chalna chahay.(Sura Takweer Ayaat 25-28)Aey insan tujhy apnay Rab-e-karim say kis cheez nay behkaya? Jis (Rab nay) tujhy paida kiya phir thek thaak kiya phir (durust) baraber banaya. Jis soorat mein chaha tujhy jor diya.(Sura Infitaar Ayaat 6-8)Wo (Khuda) bara bakhsish kerney wala aur bohat mohabat kernay wala hai.(Sura barooj Ayat 14)

Some Ayat

Beshak Allah ne Adam aur Nooh aur Aal-e-Ibraheem aur Aal-e-Imran ko tamam jahanon par chun lia hai. Ye aik doosrey ki nasal men se hen aur Allah sub kuch sunney wala aur jaanney wala hai (Sura Aal-e-Imran Ayat 33, 34)(Logo) jab tak Khuda napaak ko paak se alag nahi kar daiga momino ko is haal men jis haal men tum ho har giz nahi rehney de ga aur Allah tum ko ghaib ki baton se bhi mutl’aa nahi karey ga albata Khuda apney Paighambaron men se jisey chahta hai intekhab kar laita hai to tum Khuda par aur us k Rasulon par imaan laao aur agar imaan laogey aur parhaizgaari karogey to tum ko ajr-e-Azeem miley ga (Sura Aal-e-Imran Ayat 179)hum ne tumhari taraf is tarah wahi bheji hai jis tarah Nooh aur in se pichley paighambaron ki taraf bheji thi. Aur Ibraheem aur Ismaeel aur Ishaaq aur Yaqoob aur Aulad-e-Yaqoob aur Isaa aur Ayub aur Yunas aur Haroon aur Suleman ki taraf bhi hum ne wahi bheji thi aur Daood ko hum ne zaboor bhi inayat ki thi. Aur buhat se paighamber hen jin k halaat hum tum se pehley bayan kar chukey hen aur buhat se paighamber hen jin k halaat tum se bayan nahi kiay aur Moosa se to Khuda ne baten bhi keen. Paighambaron ko khuskhabri sunaney waley aur daraney waley (bana kar bheja tha) taakey paighambaron k aaney k baad logon ko Khuda par ilzaam ka moka na rahey aur Khuda ghalib hikmat wala hai (Sura Nisa Ayat 163,164,165)Allah Taalaa ki raah mein kharch karo aur apney haathon halakat mein na paro aur sulook-o-ehsan karo Allah Taalaa ehsan kerney walon ko dost rakhta hai.(Sura Baqra Ayat No 195)Tum jitna kuch kharch karo (yani khairaat) aur jo kuch mannat maano ussay Allah Taalaa bakhoobi janta hai aur zalimon ka koi madadgar nahi.(Sura Baqra Ayat 270)Jin logon ney neki ki hai un kay wastay khoobi hai aur mazeed izafa bhi hai aur un kay chehron per na siayahi chaaye gi aur na zillat. yeh log jannat mein rehney walay hain woh is mein hamesha rahen gay.(Sura yunas ayat 26)Allah Taalaa adal ka bhalaee ka aur qarabat daron kay sath naik salook kerney ka hukum deta hai aur bey hayaee kay kaamon, na-shaista herkaton aur zulm-o-ziyadti say rokta hai. woh khud tumhen naseehaten ker raha hai kay tum naseehat hasil karo.(Sura Nahal ayat 90)Jo log apna maal Allah Taalaa ki raah mein kharch kertay hain phir us kay baad na to ehsan jatatay hain aur na ezza (takleef) detay hain un ka ajar un kay Rab kay paas hai, un per na to kuch khof hai na woh udas hongay.(Sura Baqra ayat no 262)Naram baat kehna aur maaf ker dena us sadqay say behtar hai jis kay baad ezza rasani (takleef di jaey) ho aur Allah Taalaa bey niaz aur burdbaar hai (Sura baqra ayat no 263)Aey eman walon apni khairaat ko ehsan jata ker aur ezza phoncha ker barbad na kero! Jiss tarah woh shaks apna maal logon kay dikhaway kay liye kharach keray aur na Allah Taalaa per eman rakhay na qayamat per uss ki misal uss saaf pathar ki tarah hai jiss per thori si mitti ho phir uss per zor daar meenh barsay aur woh issay bilkul saaf aur sakht chor dey inn riya kaaron ko apni kamaee mein say kuch cheez haath nahi lagti aur Allah Taalaa kafiron ki qom ko (seedhi) raah nahi dikhata. (Sura baqra ayat no 264)Wohi to hai jis ney aftab ko roshan aur chand ko munawar banaya aur chand ki manzilen muqarrar kin takay tum barson ka shumar aur (kamon ka) hisab maloom karo. Ye (sab kuch) Khuda ne tadbeer se paida kya hai. Samajhney walon k liay wo apni ayaten khol khol kar bayan karta hai (Sura Yunas Ayat 5)Yaqeenan hum ney aasman mein burj banaye hain aur dekhney walon kay liye usay saja diya hai.Aur issay her mardood shaitan say mehfooz rakha hai. (Sura Hijr Ayat 16,17)Aur Usi ney tumharey liay raat din aur sooraj chand ko kaam men lagaya aur Usi k hukm se sitaray bhi kaam men lagey huay hen. Samajhney walon k liay is men (Qudrat-e-Khuda ki buhat si) nishaniyan hen (Sura Nehal Ayat 12)Wohi to hai jis ney raat aur din aur sooraj aur chand ko paida kya hai. Ye sub asmaan men (apney apney madaar mein) tair rahey hain. (Sura Anbia Ayat 33)Aur Hum ney tumharay upper saat aasman banaye hain aur hum makhlooqaat say ghafil nahi hain (Sura Mominoon Ayat 17)Aur sooraj kay liye jo muqarrara raah hai woh usi per chalta hai yeh Ghalib o Daana Khuda ki muqarrar kerda hai. Aur chand ki hum ney manzilen muqarrar ker rahkhi hain yahan tak kay wo loat kr purani tehni ki tarah hojata hai.Na aftab ki yeh majaal hai kay chand ko ja pakray aur na raat din per aagay barh janey wali hai aur sab apney daaerey men tair rahey hen (Sura Yasin Ayat 38-40)

Al-Ikhlas 112: 1-4

‘Say: He is God, the One and Unique;
God, the Eternal source and support
Of everything;
He begets not, and neither is He begotten;
And none is His equal.’
 
Free Joomla TemplatesFree Blogger TemplatesFree Website TemplatesFreethemes4all.comFree CSS TemplatesFree Wordpress ThemesFree Wordpress Themes TemplatesFree CSS Templates dreamweaverSEO Design