Tuesday, 18 December 2012

Some Ayat

Beshak Allah ne Adam aur Nooh aur Aal-e-Ibraheem aur Aal-e-Imran ko tamam jahanon par chun lia hai. Ye aik doosrey ki nasal men se hen aur Allah sub kuch sunney wala aur jaanney wala hai (Sura Aal-e-Imran Ayat 33, 34)(Logo) jab tak Khuda napaak ko paak se alag nahi kar daiga momino ko is haal men jis haal men tum ho har giz nahi rehney de ga aur Allah tum ko ghaib ki baton se bhi mutl’aa nahi karey ga albata Khuda apney Paighambaron men se jisey chahta hai intekhab kar laita hai to tum Khuda par aur us k Rasulon par imaan laao aur agar imaan laogey aur parhaizgaari karogey to tum ko ajr-e-Azeem miley ga (Sura Aal-e-Imran Ayat 179)hum ne tumhari taraf is tarah wahi bheji hai jis tarah Nooh aur in se pichley paighambaron ki taraf bheji thi. Aur Ibraheem aur Ismaeel aur Ishaaq aur Yaqoob aur Aulad-e-Yaqoob aur Isaa aur Ayub aur Yunas aur Haroon aur Suleman ki taraf bhi hum ne wahi bheji thi aur Daood ko hum ne zaboor bhi inayat ki thi. Aur buhat se paighamber hen jin k halaat hum tum se pehley bayan kar chukey hen aur buhat se paighamber hen jin k halaat tum se bayan nahi kiay aur Moosa se to Khuda ne baten bhi keen. Paighambaron ko khuskhabri sunaney waley aur daraney waley (bana kar bheja tha) taakey paighambaron k aaney k baad logon ko Khuda par ilzaam ka moka na rahey aur Khuda ghalib hikmat wala hai (Sura Nisa Ayat 163,164,165)Allah Taalaa ki raah mein kharch karo aur apney haathon halakat mein na paro aur sulook-o-ehsan karo Allah Taalaa ehsan kerney walon ko dost rakhta hai.(Sura Baqra Ayat No 195)Tum jitna kuch kharch karo (yani khairaat) aur jo kuch mannat maano ussay Allah Taalaa bakhoobi janta hai aur zalimon ka koi madadgar nahi.(Sura Baqra Ayat 270)Jin logon ney neki ki hai un kay wastay khoobi hai aur mazeed izafa bhi hai aur un kay chehron per na siayahi chaaye gi aur na zillat. yeh log jannat mein rehney walay hain woh is mein hamesha rahen gay.(Sura yunas ayat 26)Allah Taalaa adal ka bhalaee ka aur qarabat daron kay sath naik salook kerney ka hukum deta hai aur bey hayaee kay kaamon, na-shaista herkaton aur zulm-o-ziyadti say rokta hai. woh khud tumhen naseehaten ker raha hai kay tum naseehat hasil karo.(Sura Nahal ayat 90)Jo log apna maal Allah Taalaa ki raah mein kharch kertay hain phir us kay baad na to ehsan jatatay hain aur na ezza (takleef) detay hain un ka ajar un kay Rab kay paas hai, un per na to kuch khof hai na woh udas hongay.(Sura Baqra ayat no 262)Naram baat kehna aur maaf ker dena us sadqay say behtar hai jis kay baad ezza rasani (takleef di jaey) ho aur Allah Taalaa bey niaz aur burdbaar hai (Sura baqra ayat no 263)Aey eman walon apni khairaat ko ehsan jata ker aur ezza phoncha ker barbad na kero! Jiss tarah woh shaks apna maal logon kay dikhaway kay liye kharach keray aur na Allah Taalaa per eman rakhay na qayamat per uss ki misal uss saaf pathar ki tarah hai jiss per thori si mitti ho phir uss per zor daar meenh barsay aur woh issay bilkul saaf aur sakht chor dey inn riya kaaron ko apni kamaee mein say kuch cheez haath nahi lagti aur Allah Taalaa kafiron ki qom ko (seedhi) raah nahi dikhata. (Sura baqra ayat no 264)Wohi to hai jis ney aftab ko roshan aur chand ko munawar banaya aur chand ki manzilen muqarrar kin takay tum barson ka shumar aur (kamon ka) hisab maloom karo. Ye (sab kuch) Khuda ne tadbeer se paida kya hai. Samajhney walon k liay wo apni ayaten khol khol kar bayan karta hai (Sura Yunas Ayat 5)Yaqeenan hum ney aasman mein burj banaye hain aur dekhney walon kay liye usay saja diya hai.Aur issay her mardood shaitan say mehfooz rakha hai. (Sura Hijr Ayat 16,17)Aur Usi ney tumharey liay raat din aur sooraj chand ko kaam men lagaya aur Usi k hukm se sitaray bhi kaam men lagey huay hen. Samajhney walon k liay is men (Qudrat-e-Khuda ki buhat si) nishaniyan hen (Sura Nehal Ayat 12)Wohi to hai jis ney raat aur din aur sooraj aur chand ko paida kya hai. Ye sub asmaan men (apney apney madaar mein) tair rahey hain. (Sura Anbia Ayat 33)Aur Hum ney tumharay upper saat aasman banaye hain aur hum makhlooqaat say ghafil nahi hain (Sura Mominoon Ayat 17)Aur sooraj kay liye jo muqarrara raah hai woh usi per chalta hai yeh Ghalib o Daana Khuda ki muqarrar kerda hai. Aur chand ki hum ney manzilen muqarrar ker rahkhi hain yahan tak kay wo loat kr purani tehni ki tarah hojata hai.Na aftab ki yeh majaal hai kay chand ko ja pakray aur na raat din per aagay barh janey wali hai aur sab apney daaerey men tair rahey hen (Sura Yasin Ayat 38-40)

0 comments:

Post a Comment

 
Free Joomla TemplatesFree Blogger TemplatesFree Website TemplatesFreethemes4all.comFree CSS TemplatesFree Wordpress ThemesFree Wordpress Themes TemplatesFree CSS Templates dreamweaverSEO Design